Search Bar

What is Domain Name? All Info in Hinglish Adda

Dosto aaj man aapko baatane jaa rahi  hun ki Domain  Kya Hai? Kitne prakar ke hote hai aur kaha se kharidne chaiya?

domain kya hai, domain, domain name

Domain Kya Hai?

Domain ek naam hota hai jo ki humari website ki pehchan hoti hai. Domain ka aarth me aapko baatu to jaise apke naam se aapko har koi jaanta hai pehchanta hai. ese hi website ka bhi naam hota hai jise hum domain naam kehte hai. domain ka use hum isliye karte hai kyoki agr hum kise ko apni website ka naam baatye to wo humari website par aasaani se ja sake aur aasaani se humre blog dekh sake.
What is Blog?
Domain Name ke Prakar Kon-Kon se hote hai?
Top level Domain - Top level Domain ki value jyada hote hai. Google Search Engine aur dusre search engine isse jyda priority dete hai. Ek domain name ek top level domain ke saath khatm hota hai. Jaise hinglishadda.com me .com ek top level domain hai.
Example:-
  • .Com (commercial sites)
  • .Org (organization sites)
  • .Edu (education sites)
  • .Gov (government sites)

Second level Domain - Second Top level se pehle liya jaata hai. Yahe ek tarah ka naam hota hai. Jaise hinglishadda.com me hinglishadda second level domain hota hai.

Third level domain - Third level domain second level domain se pehle aata hai. esme aapko koi bhi cheez kharidini nahi hoti hai. Chaahe vo domain name kyun na ho. Agar apke pass domain name hai to aap aasani se subdomain bana sakte ho. Jaise hinglish adda.com me English subdomain name hai.
Digital marketing

Difference between domain and subdomain?

Domain:- jab hum domain kharidate hai to  vo aapki website ka personal name hota hai. Yahe aapki website ka naam hota hai. Isme aap jab chahe kise ko bhi apne website ka naam asani se bata sakte ho. Takki vo apki website asani se pad sake. Domain name se hume ye fayda hai ki aap jab koi bhi blogs upload kate ho to uska saara credit apko jaata hai. Agr logo ko apke blogs  pasnd aate hai to vo apke domain ke name asani search karke aasani se apke blogs pad sakta hai.
Subdomain:- Dosto subdomain me aapka khud ka domain name nhi hota. Subdomain ka arth hai aap kisi ke under me kaam kar rahe ho. Jaise apne blog likha aur aap use blog ko kise aur ke website pe dal dete ho to use blog ka credit apko nhi jaise website hai usko jayga. Jaise hum subdomain kehte hai.

Domain kaha se khardini chaiya?

Dosto domain kharidne ke liye aapko internet par bahut sari website mil jaygi. Jisme aapko bahut se website me domain kam rate mai mil jaynge. Ab aap aise me aapka chunaa hai ki aap kaha se domain kharid sakte ho. Dosto mai aapko domain kharidne ke kuch website ke naam  jise aap asani se domain kharid sakte ho.

Yehe kuch aise website hai jise aap asani se domain kharid sakte ho.
Dosto ab aap soch rahe honge ki maine apko itne website ke naam baatye inme se hum kon se website se domain kharde to mai apko baata du agr apko domain name khardna hai to aap godaddy.com se kharide kyoki  inhone india ke liya website launch ki hai. Jisme aap debit card se bhi payment kar skte ho.
Godaddy bahut he saste mai aapko domain dete  hai islye jydatar log is website ka use jyda karte  hai aur india mai ye website popular bhi hai.

Domain name kharidne ke step by step process:-

Sabse pehle godaddy mai jaye aur domain name search kare jo domain  name apko kharidna hai.
Ab time select kare apko kitne saalo tak ke liye domain chaiye uske baad processed of check out par click kar de. Agr aap new user hai to continoue par click kar ke register kar le ya fir apni pehle se id hai to aapko user naam aur password dal kar login kare.
Ab billing information dale aur payment method select kare. Aur fir place your order par click kar ke payment kare. To dosto aap is tarh godaddy se domain kharid skte ho.


Post a Comment

0 Comments